Lyrics
Husain (A.s.) , Husain (A.s.), Husain (A.s.), Ya Husain (A.s.) …..
Haiya Ala….. Khairil Amal
Ya Husain (A.s.) …..2
Farzand E Zehra (S.a.), Abaabdillah (A.a.)
Sada De Rahe Hai Maqtal Se
Tumhe Rasool (S.a.w.w.) Ki Beti Ka Salam…..
Har Jaga Majlise Bapa Karna …..
Karbla Walon Se Wafa Karna…..
Zindagi Waqf E Karbala Karna…..
Sunnat E Zainab (S.a) O Sajjad (A.a) Nibha Ne Ke Liye……
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Husaini (A.s.) Fiqr Ko Zinda Rakho Badhao Kadam
Nazar Mein Rakho Alamdar E Karbala (A.s.) Ka Haram
Kaisi Kismet Kahan Ki Taqdeerein ,
Chod Kar Dahar Ki Yeh Jagirein,
Tod Kar Waqt Ki Yeh Zanjirein,
Apne Bacchon Ko Alamdar Banana Ke Liye……
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Zameen Se Arsh E Moalla Ka Fasla Hai Bahut ,
Magar Husaini Qabile Ka Hausla Hai Bahut,
Binte Zehra (S.a.) Pe Bharosa To Karo,
Apni Takhleek Pe Socha To Karo,
Sath Woh Dengi Irada To Karo,
Chand Par Parcham E Abbas (A.s.) Laga Ne Ke Liye….
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Jahan Husain (A.s.) Nahi Ho Woh Koi Dil To Nahi
Qasam Husain (A.s.) Ki Yeh Kaam Bhi Mushkil To Nahi…..2
Marefat Kya Hai Bata Ne Ke Liye
Roz Meraj Pe Jaane Ke Liye
Uski Tauker Badha Ne Ke Liye
Hauze Kausar Me In Ashkon Ko Mila Ne Ke Liye…..
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Arsh Ho Khuld Ho Kausain Ya Karbal Ki Zameen
Tum Azadar Ho Tum Par Koi Pabandi Nahi…..2
Haisiyat Apni Khudaya Samjho
Yeh Bi Zehra (S.a.) Ki Hai Ata Samjho
Kya Hai Yeh Zikre Karbala Samjho
Sari Dunia Ko Aza Khana Bana Ne Ke Liye ……
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Shahe Dilgir Ki Hum Sheer Ka Matam Na Ruke
Saans Ruk Jaaie Yeh Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Ruke …..2
Dunia Walon Ne Isko Kya Jana
Kya Hai Shabbir (A.s.) Ka Yeh Afsana
Qaid Khana Ho Ya Aza Khana
Maqsad E Hazrat E Shabbir (A.s.) Bata Ne Ke Liye …..
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Ek Halqa Ho Azadaron Barahe Matam,
Hai Ishi Baat Mein Poshida Baq E Matam …..2
Sub Ke Seenon Mein Ho Tazeem E Aza
Ho Ne De Na Nahi Taqseem E Aza
Han Ishe Kehte Hai Tanzeem E Aza
Halqae Matam E Shabbir (A.s.) Badha Ne Ke Liye …..
Chalo Chalo Husainiyon,
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Kya Kabhi Bhool Sake Sham E Ghariba Ka Dhua
Dasht E Shabbir (A.s.) Pe Asgar (A.s.) To Kabhi Lash E Jawan (A.s.)…..2
Goonji Makhtal Mein Yeh Zainab (S.a.) Ki Sada
Ro Ke Yeh Khaak Nashinon Se Kaha
Rahe Kufa Ho Ke Bazar E Jafa
Mere Mazloom Ka Paigam Suna Ne Ke Liye …..
Chalo Chalo, Chalo Chalo Ke Jahan Farsh E Aza Le Jaaie…..2
Chalo Chalo…..
Jub Mila Hukm E Rihaie To Yeh Zainab (S.a.) Ne Kaha
Qaidiyon Aao Kare Matam E Shabbir (A.s.) Bapa
Aao Fizza Padho Hadees E Kisa…..
Marsiya Tum Padho Qulsoom (S.a.) Zara …..
Zakari Tum Karo Aai Zainul Liba (A.s.)…..
Aaisa Matam Ho Mere Bhai Ka …..
Goon Uthi Mazhar O Irfan Sada …..
Khuld Se Aa Gaie Hai Maa Zehra (S.a.)…..
Nauha Sunne Ko Mere Baqir (A.s.) Ka
Ya Abbasa (A.s.) …..Husaina …..2
Ya Mazlooma (A.s.)….. Husaina …..2
Ya Abbasa (A.s.) …..Husaina …..2
Ya Mazlooma (A.s.)….. Husaina …..2
Ya Asgara (A.s.)……. Husaina
Ya Akbara (A.s.)….. Husaina
Ya Qasima (A.s.)….. Husaina
Ya Zainaba (S.a) ….. Husaina
Ya Sakina (S.a) ….. Husaina
Ya Alia (A.s.) ….. Husaina
Ya Fatema (S.a.) ….. Husaina
Husain (A.s.) , Husain (A.s.) …..