top of page

Sitamgar Ne SAKINA (SA) Ko

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar Sitamgar Ne SAKINA (SA) Ko 

Kabi Jab Roei Tab Maara Kabhi Jab Soei Tab Maara

Ba Alfaaz E Digar Ek Chaar Saala Gham Raseeda Ko

Kabhi Jab Roei Tab Maara  Kabhi Jab Soei Tab Maara 

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Lagi Jab Aag Khemo Me; Jala Kurte Ka Jab Daman 

Baya’n Mumkin Nahi Kaise; Tadapkar Roya Hai Bachpan

Musalsal Di Azeeyat Bani E Shar Ne; Yateema Ko ………Kabhi Jab

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Hamesha Al Madad Ya HAIDER E QARRAR (AS) Kehti Thi

Har Ek Ko Dekhti Rehti Thi Aur; Khamosh Rehti Thi

Dikhana Chahti Thi Neel Kodo’n Ke; Ruqayya Ko….......Kabhi Jab 

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Ridayaye’n Chheenne; Walo’n Ne Gohar Tak Nahi Chhode

Kabhi Rukh Par Tamache / Pusht Par; Maare Kabhi Kode 

Sataya Zalimo Ne Sham Tak Lachhar; Dukhiya Ko…...…Kabhi Jab 

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Qayamat Aa Gaei Jisdam; Bithaya Pusht E Naaqa Par 

Tadapkar Der Tak Roya/ HUSAIN IBNE ALI (AS) Ka Sar 

Sitam Ye Bhi Hua Rassi Se Phir Baandha; Hazeena Ko.….Kabhi Jab 

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Aseero’n Ka Ye Jisdam Kafela; Baazar Me Pahuncha

Badi Hasrat Se Bachchi Ne/ Sar E; ABBAS (AS)  Ko Dekha

Dua Karti Thi Yarab Maut Aa Jaye; SAKINA (SA) Ko…..Kabhi Jab 

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Sada E Al Atash Dil Se; Labo’n Tak Ab Nahi Aati

Na Wo Ab Chahne Wale/ Na Wo; Qasim Ke Baaraati 

Rulati Hai Yateemi Dukhtar E Shah E; Madina Ko............Kabhi Jab.

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Liya Zalim Ne Jisdam Imteha’n; Bali SAKINA (SA) Ka 

Chala Beti Ki Janib Uth/ Ke Sar; SHAH E MADINA (AS) Ka 

Hua Mehsoos Seene Se Lagaya Hay; SAKINA (SA) Ko…………Kabhi Jab

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

Watan Jaane Ki Hasrat Ne Jo Dam; Zindaan Me Toda 

SAKINA Ne Tasawwur Me Bhi Phir; Zinda’n Nahi Chhoda 

Kiya Hy Sham Ke Zindaan Tak Mehdood; Duniya Ko … Kabhi Jab

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

 

SAKINA (SA) Ke Masa’ib Me Karoo’n; Kaise Baya’n Asif

Zamee’n Par Gir Na Jaaye/ Sochta Hoo’n; Asmaa’n Asif

Satata Hai Ye Akbar Gham Ke Zalim Nay; SAKINA (SA) Ko............Kabhi Jab

Kaha ZAINAB (SA) Ne Ro Rokar.....

Lyrics

​

Lyrics

​

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

Dekho Tafseer Sar E Karbobala ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

 

Subhe Ashur Huyi Jab Ke Ayaa'n..

Har Taraf Ranjo Alam Ka Tha Sama'n

Gunji Sehra Me Jo AKBAR (AS) Ki Azaa'n..

 

Ashado An La Ela Ha Illallah

Ashado An Na MOHAMMADUN (SAWW) Rasulullah

Ashhado An Na ALIYUN (AS) Waliullah

 

Har Taraf Chhane Lagi Yehi Sada..

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

Ishq E HAIDER (AS) Se Mila Ishq E Khuda..

Sab ALI (AS) Wale Sar E Karbobala..

Ek Ek Karke Huye Sheh Pe Fida..

Jo Bhi Hodhe Se Gira Usne Kaha......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

Woh Jo Tauheed Bachane Aaye..

Aur SHABBIR (AS) Pe Qurbaan Huye..

Jaante The Yeh Hussaini Saare..

Yehi Naara Hai Baqa E Kaaba.....ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

Gham Ke Toofan To Chhate Hi Rahe..

Dil Pe Har Zakhm Ko Khaate Hi Rahe..

Laashein SHABBIR (AS) Uthate Hi Rahe..

SHEH (AS) Ki Dharas Tha Faqat Yeh Jumla......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

Marhala Haye Woh Aaya Jis Dum..

Wada Sarwar Ne Nibhaya Jis Dum..

Deen E Haq Yaani Bachaya Jis Dum..

Kehke Sar Rakha Mayaan E Sajda....ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

Bole SHABBIR (AS) Suno Fauj E Jafa (LA)

Rab Nahi Koi Mere Rab Ke Siwa ..

Aur Risalat Ke Amee' Hai Nana..

Aur Phir Sheh Ne Bila Fasl Kaha.....ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

Bhai Ki Lash Pe Aayi Dukhiya..

Lash E SHABBIR (AS) Pe ZAINAB (SA) Ne Kaha..

Ab Main Phailaungi Paigham Tera..

Kal Sada Hogi Sar E Farsh E Aza......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

 

La Haq Salman Mukhalif f Thi Hawa..

Humne Har Aan Shabih Gham Hai Saha..

Koshishein Karte Rahein Ahle Jafa..

Kalma-E-Haq Se Na Ho Paya Juda......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah

Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2

  • Wix Facebook page
  • Wix Twitter page
  • Wix Google+ page
bottom of page