Min Raas Al HUSAIN (ASWS)
Lyrics
​
Salam Bar Moharram, Salam Bar Karbala, Salam Bar Ashoora,
Salam Bar Hussain (A.s.)
Hussain (A.s.) Hussain (A.s.) ……6
Asalam-O-Alal Hussain (A.s.), Wa Ali (A.s.)Ibnel Hussain (A.s.)
Wa Aulaadil Hussain (A.s.), Wa Ashaabil Hussain (A.s.)
Asalamo Alal Sha'ibil Khazeeb
Asalamo Alal Khadit Tareeb
Asalamo Alal Badan-e-Saleeb
Asalamo Alal Taghril Maqro-e-Bil Qazeeb
Asalamo Alal Rasil Marfoo' –
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)……6
Aee Naiza Sawaron K Qayadat K Shenshah …..2
Zulfain Teri Wal Lail Han Was Shamas Ha Chehra
Ankhon Sa Ayan Noor-E-Muhammad (S.a.w.w.) Ka Ujala
Lab Tery Han Masroof Tilawat Bine Zehra (S.a.)
Sajday Mae Jhuka Sir To Ibadat Ka Sharaf Tha
Naizy Pa Utha Sir To Ya Sir Dur-E-Najaf Tha
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.) …..4
Thi Pusht-E-Muhammad (S.a.w.w.) To Isi Sir Ka Musalla
Aur Chadar-E-Tether Ha Is Sir Ka Amama
Mun Kunto Ka Khutba Ha Isi Sir Ka Khulasa
Es Sir K Sabab Karbobala Ab Hai Mualla
Ya Sir Na Jhuka Khanjar-O-Talwar K Aage
Sir Zulam Ka Kham Hai Tere Inkar K Aage
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4
Rooh-E-Hussain (A.s.)
Jabeen-E-Hussain (A.s.)
Abrooh-E-Hussain (A.s.)
Chasme Hussain (A.s.)
S Rukhsar-E-Hussain (A.s.)
Dehne E Hussain (A.s.)
Lab-E-Hussain (A.s.)
Dandan-E-Hussain (A.s.)
Rukhsar-E-Hussain (A.s.)
Zeesht-E-Hussain A.S
Tooleya-E-Hussain A.S
Zulf-E-Hussain (A.s.)
Khusboo-E-Hussain (A.s.)
Zehen-E-Hussain (A.s.)
Fikar-E-Hussain (A.s.)
Guftar-E-Hussain (A.s.)
Han…..
In Ankhon Ko Ha Ahmd-E-Mukhtar (S.a.w.w.)Ne Chuma
Zehra (S.a.)-O-Ali (A.s.) Ne Lab-O-Rukhsar Ko Chuma
Zulfon Ko Hassan (A.s.) Ne Hai Bade Piyar Sa Chuma
Behano (S.a.) Gala Iska Kai Bar Hai Chuma
Sardari-E-Abbas (A.s.) Isi Sir Sa Judi Hai
Aur Zainab (S.a.) -O-Kulsoom (S.a.)Ko Ye Misl-E-Ali (A.s.)Hai
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain A.S …..4
Maujood Tha Es Sir Me Muhammad (S.a.w.w.) Ka Khazana
Maqsad Tha Esi Sir Ka To Islam Bachana
Zalim Ne Bohat Chaha Tha Es Sir Ko Jhukana
Yeh Sir Na Jhuka Kat Gaya Zehra (S.a.) Ka Gharana
Es Sir Ka Safar Sun Ke Jahan Rota Hai Ab Tak
Ghaibat Mein Ju Hai Marsiya Khuwan Rota Ha Ab Tak
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4
Ashoor Ko Yeh Sir Pas-E-Gardan Sa Kata Tha
Zarben Thi Lagi Tera (13) Bohat Khushk Gala Tha
Zainab (S.a.) K Liya Waqt Qayamat Se Qada Tha
Zulfon Ko Pakad Kar Jo Yeh Sir Shimar (L.a.) Chala Tha
Afsos Sir-E-Nook-E-Sina Jab Yeh Sir Aya
Jalta Howa Ghar Sham-E-Ghareban Ka Tha Saya
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4
Es Sir K Masiab Ka Yeh Purdard Hai Qissa
Khooni Ise Ghar Mein Jo Tandoor Mein Rakha
Raat Aayi To Phir Zauja-E-Khooni Ne Yeh Dekha
Tandoor Se Ik Noor Ka Dariya Hai Ubalta
Ik Bibi Siyah Posh Ne Es Sir Ko Uthaya
Ro Ro K Kaha Haye Ghareb-E-Dil-E-Zehra (S.a.)
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4
Rahib Ne Ya Sir Dekha Tha Jab Nok-E-Sina Pr
Khooli (L.a.) Se Kaha Kaun Ha Yeh Kiska Hai Yeh Sir
Bola Wo Bad'ad Atwar K Yeh Hai Bin-E-Haider A.S
Rahib Ne Wo Sir Le Liya Khooli (L.a.)Ko Diya Zarr
Sir Goud Mae Rakhe Howy Rota Raha Rahib
Awaz-E-Foga Zehra (S.a.) Ki Sunta Raha Rahib
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.) …..4
Ye Sar Kabhi Sandooq Main Tandoor Main Rakha
Iss Sar Ko Darakhto'n Pe La'eeno'n Ne Sajaaya
Naizey Pe Issey Shehar Ki Galiyo'n Main Phiraaya
Ham Raah Aseero'n Ke Ye Sar Sham Jab Aaya
Sajjad (A.s.) Ko Zainab (S.a.) Ko Rulaatey They Sitamgar
Sar Baali Sakina s.a Ko Dekhaatey They Sitamgar
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4
Darbar-e-Yazeedi (L.a.) Main Bapa Jashan-e-Taraf Tha
They Aik Taraf Ahl-e-Haram Muztar O Giryaa
Aur Saamney Tha Takht Pe Marjaana (L.a.) Ka Beyta (L.a.)
Uss Takht Taley Sar Tha Hussain-e-Bekhata (A.s.)Ka
Badmast La'een Nashey Main Lalkaar Raha Tha
Dandaan-e-Shah-e-Deen (A.s.) Pe Chharri Maar Raha Tha
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4
Jiss Waqt Ye Sar Shaam Ke Zindaan Main Aaya
Sar Bhai (A.s.) Ka Zainab (S.a.) Ne Kalejey Se Lagaya
Sajjad (A.s.) Ne Beyhosh Sakina (S.a.) Ko Jagaya
Sar Baba (A.s.) Ka Pehlu Main Sakeena (S.a.) Ne Jo Paaya
Aey Sarwar O Rehan Qayamat Ka Samaa Tha
Shabbir a.s Ka Sar Rota Tha Aur Shor O Fughaan Tha
Allah (S.w.t.) Allah (S.w.t.) Min Rasil Hussain (A.s.)…..4