Ghame HUSAIN (AS) Mei
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Ye Darde Karbobala.....2.....Do Jahaa(n) Pe Chaaya Hai
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Jo Pohche Hazrate Adam Dayaare Karbobala
To Khaai Raah Mein Thokar Badan Se Khoon Baha
Sabab KHUDA(SWT) Se Jo Poocha To Ye Jawaab Mila
Ghame HUSAIN (AS) Mein Taahir Lahoo Bahaya Gaya
Baha Jo Khoo(n) Usey.....2..... SHABBIR(AS) Se Milaate Hain
Shareek E Karbobala Ham Tumhein Banaate Hain
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Huwa KHALEEL E KHUDA(AS) Ka Guzar Jo Karbal Se
Ulaj Ke Gir Pada Rahwaar Sar Ke Bal Wo Gire
Khaleel Imam They Dekha Jo Khoon Riste Huwe
To Rab Se Poocha Ke Sar Se Lahoo Baha Kaise
Kaha KHUDA(SWT) Ne.....2.....Yahaan SHEH(AS) Ka Khoon Behan Hai
Tumhare Khoon Ko Usmein Shareek Rehna Hai
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Kaleem E Haq Ko Bhi Karbal Mein Ek Khaar Chubha
Jo Nikla Khaar To Jaari Tha Khoon Ka Fawwara
Sawaal RAB(SWT) Se Kiya To Unhein Jawaab Mila
Ghame HUSAIN (AS) Mein Ye Khoo(n) Bahaa Hai Ay Musa(a)
Jo Khoo(n) Ke Purse Pe.....2..... Pabandiyaa(n) Lagaata Hai
Wo Shaks Fatema ZEHRA(SA) Ka Dil Dukhaata Hai
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Karo Jo Jaan Bhi Qurbaa(n) Na Haq Ada Hoga
Fida Ho Baap Fida Maa(n) Na Haq Ada Hoga
Bata Raha Hai Ye Qur'aa(n) Na Haq Ada Hoga
Wo Hai HUSAIN(AS) Ka Ehsaa(n) Na Haq Ada Hoga
Ye Mai Nahi Ye Khuda.....2.....-e-Karim (SWT) Kehta Hai
Azim RAB (SWT) Isey Zibh-e-Azim Kehta Hai
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
ALI(AS) Ka Jo Nahi(n) Naukar Wo Sarfaraz Nahi(n)
Jina Mein Jaaneka Uske Koi Jawaaz Nahi
Amal Abas Hai Jo Ishqe Shahe Hejaaz Nahi(n)
Agar Nahi Hai Wilayat To Phir Namaaz Nahi(n)
Wila Ke Waaste Nabiyon(a) Ne Apni Jaa(n) Di Hai
Wila Se Deen Ko ALLAH(SWT) Ne Amaa(n) Di Hai
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Sada Rulaengi Qurbaaniyan Bahattar Ki
Kabhi Bhi Bhool Na Paenge Pyaas ASGAR (AS) Ki
Wo Bekasi Thi Wo Tanhaaiyan Thi(n) SARWAR (AS) Ki
Akele Sheh(a) Ne Uthaai Thi Laash AKBAR (AS) Ki
Sabab Ye Kaafi Hai SARWAR (AS) Pe Khoo(n) Bahaane Ko
Batao SHAH(AS) Ki Mazloomiyat Zamaane Ko
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Sitam Ne Khech Lii(n) Yun Baaliyaa(n) SAKINA(SA) Ki
Sunaai Deti Hai Ab Tak Fughaa(n) SAKINA(SA) Ki
Lahoo Rulaye Na Kyun Siskiyaa(n) SAKINA(SA) Ki
Ke Qaid Khaane Mein Nikli Hai Jaa(n) SAKINA(SA) Ki
IMAM E WAQT (ATFS) Ko Hamid Ye Gham Satate Hain
Tadap Tadap Ke Wo Aakho(n) Se Khoo(n) Bahaate Hain
Ghame HUSAIN (AS) Mei Nabiyo(n) Ne Khoo(n) Bahaya Hai.....3
Lyrics
​