top of page

ABBAS (ASWS) Bohat Yaad Aate Hai

Lyrics

​

Labbaik Ya Hussain (as)....4
Labbaik………4

Azaa Ka Dushman Hai Gar Zamaana To Ham Hussain (as)i Hain Yaad Rakhna-
Sada Rahegi Sadaa E Maatam Bahega Sailaab Aansuwon Ka-
Mitaa Na Paayegi Ham Ko Duniya Hai Saath Apne Dua E Zehra(sa)-
Labbaik………4

Dua E Fatema(sa)hai Girya O Zaari Na Chodenge,
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Na Hoti Gar Dua E Fatema (sa) Phir Ham Kahaan Hote-
Agar Ye Gham Nahi Hota To Ehle Gham Kahaan Hote-
Janaabe Sayyada (sa) Ki Farmabardaari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge...2

Kabhi Bhi Kaarwaane Nusrate Sheh (as)ruk Nahi Sakta-
Hamaara Sar Kate Kat Jaaye Lekin Jhuk Nahi Sakta-
Ali(as) Ke Maan Ne Waale Hain Khud Daari Na Chodenge
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Zamaane Ko Sabak Sikh Laagaye Karbobala Waale-
Sitamgar Ki Himaayat Kar Nahi Sakte Khuda Waale-
Kisi Mazlum O Bekas Ki Tarafdaari Na Chorenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Khuda Ka Din Baaqi Mustafa (sawqw) Ki Shaan Baaqi Hai-
Hussain (as)i Majlison Se Jazba E Imaan Baaqi Hai-
Rakhenge Masjidein Aabaad Deen Daari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Bataayenge Sabhi Ko Daastaan Pyaas Aur Paani Ki-
Sabeele Aab Hogi Yaad Mein Tashnadahaani Ki-
Ali Asghar(as) Tumhaari Naaz Bardaari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Labe Shabbir(as) Pe Soya Paher Ki Pyaas Ke Sadqe-
Hame Sab Kuch Mila Hai Parchame Abbas(as) Ke Sadqe-
Khuda Ne Haath Bakhshe Hain Alamdaari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Ek Aysa Bewatan Jiska Janaaza Bhi Nahi Uttha-
Wo Arze Karbala Aur Bekafan Shabbir(as) Ka Laasha-
Qasam Khaate Hain Hargiz Taazya Daari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Ham Ek Din Maqsade Karbobala Sab Ko Bataa Denge-
Hussaini Hain Yazldiyat Ko Duniya.se Mita Denge-
Kabhi Islaam Ke Dushman Se Bezaari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Sada "mesum" Ke Hothon Par Rahe Shabbir(as) Ka Nauha-
"kalim" Hoti Rahe Is Tarha Tiskeene Dile Zehra (sa)-
Bapa Maatam Rakhenge Girya O Zaari Na Chodenge-
Ham Apni Jaan De Denge Azaadaari Na Chodenge....2

Labbaik………4

  • Wix Facebook page
  • Wix Twitter page
  • Wix Google+ page
bottom of page