Haye Kadiyal Jawan AKBAR (ASWS), Mera Kadiyal Jawan AKBAR (ASWS)…..2
Haaye..
Jeeti Hai Wo Maa Jiske Guzar Jaane Ke Din The.....2
Kya Mere Jawa'n Laal Ke Mar Jaane Ke Din The.....3
Jeeti Hai Wo Maa Jiske Guzar Jaane Ke Din The.....2
Kya Mere Jawa'n Laal Ke Mar Jaane Ke Din The.....2
Thi Jo Hamare Ghar Mein Nishani Rasool (SAWW) Ki
ZAINAB (SA) Rida Mein Apni Jise Paalti Rahi
Uth Uth Ke Jisko Chumte Rehte The Raat Bhar
Haye SHABBIR (ASWS) Jee Rahe The Jise Dekh Dekh Kar
Us Chehre Ke Kya Khaak Mein Bhar Jaane Ke Din The
Kya Mere Jawa'n Laal Ke…..
Pyaase Ko Maar Kar Bhi Na Zalim Ne Dam Liya
Sar Iska Mere Saamne Usne Qalam Kiya
Araam Thodi Der Bhi Paaya Na Khaak Par
Haye Phir Se Shuru Hogaya Is Laal Ka Safar
Bazaar Mein Kab Chaand Sa Sar Jaane Ke Din The
Kya Mere Jawa'n Laal Ke…..
Aaya Ye Jab Jaha'n Mein Phuphi Ne Khushi Khushi
Azaad Ek Kaneez Thi Ki Sheeri Naam Ki
Aur Saath Saath Ye Bhi Kaha Tha Na Fikr Kar
Haye Baraat Leke Aaungi Iski Mai Tere Ghar
Pohcha Waha Na Uske Jidhar Jaane Ke Din The
Kya Mere Jawa'n Laal Ke…..
Lag Jaye Na Nazar Mere Yusuf Jamal Ko
Dekha Nazar Na Bhar Ke Kabhi Apne Laal Ko
Hai Gesuo Mein Khaak Koi Saaf To Karo
ZAINAB (SA) Ki Mai Kaneez Hu Insaaf To Karo
Barchi Kaha Wo Dil Mein Utar Jaane Ke Din The
Kya Mere Jawa'n Laal Ke…..
Nazuk Badan Pe Zakhm Na Aane Diya Kabhi
Maine Na Usko Dhoop Mein Jaane Diya Kabhi
Naize Pe Sar Hai Aaj Badan Jalti Ret Par
Pardes Mein Ye Aake Nahi Thi Mujhe Khabar
Mehnat Ki Kamayi Yu Bikhar Jaane Ke Din The
Kya Mere Jawa'n Laal Ke…..
Waada Kiya Tha Sar Pe Jo Sehra Sajaunga
Ghabra Na SUGHRA (SA) Mai Tujhe Lene Ko Aaunga
Dehleez Par Hai Baithi Takallum Wo Ghum Gusaar
Arey Cheh Maah Se Hai Usko Baradar Ka Intezaar
Pardes Se Ye Laut Ke Ghar Jaane Ke Din The
Kya Mere Jawa'n Laal Ke Mar Jaane Ke Din The.....2
Haye Kadiyal Jawan AKBAR (ASWS), Mera Kadiyal Jawan AKBAR (ASWS)…..2
Lyrics
​