SAJJAD (ASWS) Ki Aaie Sada
Lyrics
Haye SAJJAD (AS) Haye Haye Shaam
SAJJAD (AS) Pe Is Waqt Qaiyamat Ki Ghadi Hai
ZAINAB (SA) Daiyar E Shaam Mein , Sar Nange Khadi Hai
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida

Na Mehramon Ki Bhid Mein , Kaunain Ki SHAHZADIYAN (SA)
Is Dard Se Rota Hun Main , Kadi Bani SAIDANIYAN (SA)
Yeh Dil Sukun Na Paienga, Yeh Din Mujhe Khaa Jaienga
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
Kaise Saje Hai Baam O Dar, Kis Zulm Ki Tajdeed Hai
Kaidi Hai Aal E Mustufa (saww) In Shaamiyon Ki Eid Hai
Kyun Zipt Ho Dil Par Bhala, Yeh Dard Hai Subse Bada
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
Sar ZAINAB (SA) O Kulsoom (SA) Ka Aaya Ushe Jis Dam Nazar
Ek Bawafa Gaiyur Ka Thaira Nahi Naize Pe Sar
Sar Khaak Par Uska Gira Karta Hua Bus Yeh Buka
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
Pani Kabhi Maanga Nahi, Tishana Labon Ke Waaste
Chadar Talab Karta Hun Main In Bibiyon Ke Waaste
Tarikiyon Mein Din Chupa, Aandhi Chala Aur Khaak Udha
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
Jinko Chuda Ya Kaid Se, Meri Phupi Ne Barha
Kaidi Bana Kar Laaie Hai, Woh Log Hi Yeh Hai Jafa
Kya Waqt Hum Par Aa Gaya, Ehsan Ka Hai Yeh Sila
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
Ek Dard Ki Barchi Si Hai, Is Kalb Mein Tooti Hui,
Ummat Bhi Hai Bewafa, Taqdeer Bhi Rooti Hui
Kaise Kate Yeh Fasal , Ya De Qaza, Ya Hausla
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
SAJJAD (AS) Ki Aaie Sada, Kaisa Sitam Yeh Ho Gaya
Ya Rab Daiyare Gair Mein, BINTE ALI (SA) Hai Be Rida
Farhan O Mazhar Aabdi Kya Thi Qaiyamat Ki Ghadi
Ek Malik E Qadr O Qaza Faryad Karta Tha Yehi
Mujh Par Sitam Ab Aur Kya, Dhaiengi Yeh Ummat Bhala