top of page

Asghar As Ko Lay Kay Gaud Main

Lyrics

 

Hai Asgar ..........(6)

Asgar Ko Like Godh Mein Kehti Hai Karbala .....

Yeh Woh  Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(3)

 

Cheh Mah Ke Garib, Musafir Ko Soup Ke.....

Kehhne Lage Hussain (As) Yeh, Kabre Sagreer Se ....

Rakhna Zara Khayal Mera Tashnadahan Ka.....

Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

 

Madar Yeh Bain Karti Thi Dil Me Hai  Yeh Kasak.....

Sugra Tumhari Godh Se Aagosh E Kabr Tak.....

Asgar Ko Maut Ne Kahin Rukne Nahi Diya....

Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

 

Maa Soch Ti Thi Dhalta Hai Din  Ho Rahi Hai Sham.....

Jhule Me Laut Aaienga Shayad Who Tashnadahan.....

Lekin Gazab Hua  ke Woh  Jhula Bhi Jal Gaya.....

Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

 

Galion Me Shehr E Kufa Ke Bazaar E Sham Me.....

Shiri Ke Ghar Kabhi, Kabhi Darbar e Sham Me....

Marne Ke Baad Bhi Abhi Asgar Safar Me Tha....

Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

 

Nanhe Se Sar Ko Naaz Se Bus Takte Rahte The....

Phir Khoon Ro Ke Sayyad E Sajjad (As) Kehte The....

Main Who Ali Hun Jiska, Bhara Ghar Ujad Gaya.....

Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

 

Aane Laga Watan Jo, Garibon Ka Karwan

Mud Mud Ke Kehti Jaati Thi Ek Khali Godh Ma

Rakhio Sambhal Kar Ise Aai Arze Nainawa

Yeh Woh Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

 

Dar Hai Yeh Phir se koi Sina Par Utha Na Le....

Lipta Hua Hai Abbhi Seene Se Baap Ke.....

Ro Ro Ke Keh Rahi Hai Takallum Yeh Karbal....

Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

  • Wix Facebook page
  • Wix Twitter page
  • Wix Google+ page
bottom of page