Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kia
Lyrics
​
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Jis Pe Allah (S.w.t.) Ki Rehmat Ho Kare Who Matam…..2
Jis Ko Islam Se Ulfat Ho Kare woh Matam
Jis Ko Ahmad (S.a.w.w) Se Mohabbat Ho Kare Woh Matam
Warna Woh Halqae Islam Se Ho Jaaaie Juda…..2
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Yeh Who Matam Hai Jise Hur O Malayak Ne Kiya…..2
Arsh E Azam Pe Hui Majlis E Sarwar (A.s.) Barpa
Aai Sub Ahele Falaq Aur Bicha Farshe Aza…..2
Sub Se Pehla Game Shabbir (A.s.) Ka Zakir Tha Khuda (S.w.t.)
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Par Islam Ki Kaashti Ko Lagaya Sheh (A.s.) Ne….2
Deen Ko Napak Iradon Se Bachaya Sheh (A.s.) Ne
Retzaron Ko Bhi Gulzar Banaya Sheh (A.s.) Ne…..2
Aaj Bhi Deti Hai Aawaz Yehi Karbobala
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Jis Ko Hai Aale Mohamammed (A.s.) Ke Mohabbat Kitni…..2
Karbala Walon Se Hai Dil Mein Aqidat Kitni
Khoon Me Kis Shaks Ke Shamil Hai Sharafat Kitni…..2
Is Liye Aate Hai Har Saal Yeh Aayam E Aza
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Chod Kar Jaan E Payambar (S.a.w.w.) Ko Milegi Na Ama…..2
Dekh Shabbier (A.s.) Hai Jawanane Jinah
Jab Bhi Rahib Se Kaho Uska Thikna Hai Kahan…..2
Phir Na Kehna Kisi Ne Na Mujhe Samjhaya
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Sog Me Dube Hai Din Karti Hai Raatein Matam…..2
Gaur Se Sunye To Lehron Ki Sada Hai Matam
Majlis E Gam Hai Azane To Namaze Matam…..2
Sare Alam Mein Hai Shabbir (A.s.) Ka Matam Barpa
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Gam E Shabbir (A.s.) Mein Jo Tan Se Bahate Hai Lahu…..2
Unki Har Zakhm Se Aati Hai Wafa Ki Khushboo
Mol Jannat Ka Hua Karte Hai Unke Aansu…..2
Unka Shabbir (A.s.) Ke Matam Se Hai Khoon Ka Rishta
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Lakh Mehrab E Ibadat Me Ho Sajda Lekin…..2
Shakl Me Rozon Ke Karta Rahe Faka Lekin
Karbala Chod Ke Jaata Rahe Kaaba Lekin…..2
Hashr Me Naama E Aamal Rahenga Sada
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Haq Ka Paigam Hai Yeh Majlison Matam Ka Safar…..2
Yeh Sabilon Ke Katare Yeh Juluson Ka Guzar
Aur Yeh Parchame E Abbas (A.s.) Ka Uthna Ghar Ghar…..2
Keh Rahi Yeh Zamane Ne Se Phare Re Ki Hawa
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Apni Ummat Ko Nabi (S.a.w.w.) Hashr Me Bulwaenge…..2
Aur Sub Apni Aqidat Ki Jaza Paienge
Matami Saaya E Remat Me Chale Jaienge…..2
Us Ghadi Munkire Matam Yeh Padenge Nauha
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Pyas Hoton Pe Liye Phirte The Ahle Mehehshar …..2
Phir Nazar Aaya Jhalakta Hua Hauze Kausar
Tashnagi Apni Bujhane Ko Badhe Hi The Magar…..2
Pher Kar Apni Nigahon Ko Yeh Haider (A.s.) Ne Kaha
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Hashra Me Kholoa Gaya Jyun Hi Amal Ka Daftar…..2
Usme Nikla Na Khi Ashk E Gam E Sheh (A.s.) Ka Gauhar
Phir To Uswakt Kahega Yeh Khuda E Barta…..2
Tujh Ko Kya Du Teri Be Ruhei Ibadat Ka Sila
Jan E Zehra (S.a.) Ka Agar Gam Na Kiya Kutch Nakiya,Jis Ne Shabbir (A.s.) Ka Matam Na Kiya Kutch Na Kiya…..2
Aai Fasil Ahmad E Mursal (S.a.w.w.) Ne Manaya Hai Yeh Gam
Yani Sarkar E Medina (S.a.w.w.) Ne Kiya Hai Matam
Gam E Sarwar (A.s.) Ke Liye Hai Daleelein Mohkam
Tum Me Dam Ho To Mohammad (S.a.w.w.) Pe Laga Do Fatwa