Majboor Nahin Beemar
Lyrics
​
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Rab Ki Marzi Hai Warna Majboor Nahi Beemar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Yeh Bhi Ali (as) Ka Pota Hai Aur Sarwar (saww) Ka Shehzada Hai .....(2)
Ek Ishaare Se Faujon Ko Tukde Bhi Kar Sakta Hai
Khaibar Ka Naqsha Khinch Jaye Khench Le Jo Talwaar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Yeh Jo Chahe Arsh Ke Tare Aage Aur Peeche Ghumen..... (2)
Ye Jo Chhahe Sare Darya Is Ke Qadmon Ko Chumen
Is Ke Isharon Par Chalat Ahai Jag Ka Karo Baar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Baar E Masayeb Dosh Pe Hain Aur Rab Ki Marzi Par Hai Nazar .....(2)
Warna Ek Hi Pal Mein Ho Jati Ye Duniya Zer O Zabar
Khoon E Abu Talib (as) Hai Ragon Mein Yeh Bhi Hai Jarrar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Fathe Mubeen Kehte Hain Kis Ko Yeh Batlaya Hai Is Ne.....(2)
Mazloomi Ki Taqat Ka Loha Manwaya Hai Is Ne
Ek Qaidi Ke Khauf Se Warna Kanpta Kiyon Darbaar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Ahle Haram Ki Nazron Se Haal Apna Chhupayae Baithe Hai.....(2)
Raahe Jafa Mein Zakhm Hazaron Dil Pe Uthaye Baithe Hai
Utha Jaye To Zulm O Sitam Ka Jeena Ho Dushwar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Sare Badan Se Khoon Hai Jari Aur Pairon Mein Chhale Hain....(2)
Us Pe Sitam Be Maqna O Chadar Ahmad (saww)ke Ghar Wale Hain
Phir Bhi Lab Par Hai Khaliq Ki Azmat Ka Iqraar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)
Kaise Faseel Ab Us Ka Bayan Ho Fiqro Qalam Donon Qaasir.....(2)
Shaam O Kufa Ke Ye Rahen Aabid (as) E Muztar Ki Khatir
Aisa Ran Hain Jin Mien Nahi Hai Teghon Ki Jhankar
Mit Jaye Bazaar Jal Uth'the Darbaar.....(2)