top of page

Ishq E ALI (ASWS) O ZEHRA (SA) HUSAIN (ASWS)

Ya HUSAIN (ASWS) Ya HUSAIN, Ishq E ALI (ASWS) O ZEHRA (ASWS) HUSAIN (ASWS).....4

 

Arsh E Bari Ho Jiska Musalla, Sajda Jise Karta Ho Qibla

Jiski Sukunat Sehn E Kaba, Jiska Amama Gumbad E Khizra

Jis Se Hai..... Aabru, Deen E KHUDA (SWT) Ki Woh HUSAIN (ASWS)

Haidri..... Zeb O Zain, FATEMA ZEHRA (SA) Ka Hai Chain

 

Shaan E Qayadat Rooh E Imamat, Jis Ki Mawaddat Ajr E Risalat

Bar Sar E Naiza Husn E Tilawat, Sabr Hai Jaisa Waisi Sajat

Aai Shah E .....mashraqain, Aai Dil O Jaan E Karbala

Aap Hi .....Ipteda, Aap Hi Ishq Ki Inteha

 

Chehra Tera Wan Najm Ki Surat, Gesu Tere Wallail Ki Aayat 

Badr E Tamami Qad Aur Kamat, Aanknon Ki Hai Wan Noor Alamat

Qalb E Qur....Aan Ke ,Noor Mein Baham Hai HUSAIN (ASWS)

Hussun Ek..... Lafz Hai, Uska Mujassam Hai HUSAIN (ASWS)

 

Hur Se Dilawar Kya The Kya Hai, Rahib Fitrus Tujhpe Fida Hai

Jitne Shaheed E Karbobala Hai, Teri Ata Pe Mehwe Sana Hai

Sura E..... Rehman Ki Poochiye Kya Tafseer Hai

Khud Kahe.....Ga Khuda (SWT), Bus Woh Mera SHABBIR (ASWS) Hai

 

Karbobala Ab Hum Ko Bulaie, Farsh E Zamee Par Arsh Dikhaie

Khaak E Shifa Dastar Banaie, Rauze Pe Tere Sar Ko Jhukaie

Karbala..... Naam Hai, Ishq Ki Us Meraj Ka,

Paa Sake..... Koshishe, Kar Ke Bhi Na Jise Ambiyan

 

Kaisi Sahar Aashoor Ki Aaie, Kaisi Sitam Ki Aandhi Chai

Baqi Rahe Na Bete Bhai, Roti Rahi Tujhpe Tanhaie

Ran Ko Jo..... Bhi Gaya, Tujhpe Fida Hota Raha

Ro Rahi.... Hai Aaj Bhi, Gam Me Tumhare Karbala

 

Fakhre Gam E Salman O Raza Hai, Hum Ko Maiyasar Farsh E Aza Hai

FATEMA ZEHRA (SA) Ki Yeh Ata Hai, Lab Pe Humare Jo Nauha Hai

Badsha.....Hi Se Bad, Kar Hai Hamari Naukri, 

Dhadkane..... Kalb Hai, Naam E HUSAIN Ibne Ali (ASWS)

Lyrics

​

  • Wix Facebook page
  • Wix Twitter page
  • Wix Google+ page
bottom of page