Khat E SUGHRA (SA)
Chaa Gayi Jab Madine Mein Tareekiya(n)
Chaand Surkhi Liye Rukh Pe Zahir Hua
SHEH (ASWS) Ke Hujre Se Rone Ki Aayi Sadaa
Yaad AKBAR (ASAWS) Ki Phir Se Ghazab Dhaa Gayi
SUGHRA (SA) Khat Likhne Baithi Thi Ghash Khaa Gayi
Hosh Aaya, Hosh Aaya To Thama Jigar Aur Likha......
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n).....2
Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Byaah AKBAR (ASWS) Ka Jis Dum Rachaoge Tum
Tha Yaqee(n) Baba Mujhko Bulaoge Tum
Haaye Qismat Ne Kya Din Dikhaya Mujhe
Bujh Gaya Tha Jo Ummeed Ka Ek Diya
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Fajr Ki Jab Mai Sunti Hu Baba Azaa(n)
Yaad E AKBAR (ASWAS) Mein Hote Hai Aasu Rawa(n)
Karb Aisa Madine Mein Hai Chaar Su
Jaise Ghar Se Kisike Janaza Utha
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Baba Kaisi Hai Bali SAKINA (SA)
Meri Phool Jaisi Wo Nazuk Si Behna Meri
Titliya(n) Dhundhti Hai Seher Shaam Use
Wo Gayi Kya Ke Har Phool Murjha Gaya
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Khali ASGHAR (ASWS) Ka Jhula Jhulati Hu Mai
Loriya(n) Deke Aasu Bahati Hu Mai
Qabr Hai Ab To Baba Ye Ujda Makaa(n)
Khali Hujre Hai Samaa(n) Meri Maut Ka
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Guzre Kuch Din Chali Surkh Aandhi Yaha(n)
Yu Laga Jaise Humpe Gira Aasma(n)
Khoon Tapka Falak Se Zamee(n) Kaa(n)p Uthi
Kaisa Manzar Tha Zakhmi Jigar Kar Gaya
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Asr Ka Waqt Baba Qayamat Ka Tha
Shor Girya Baqayyah Se Uthne Laga
Khake Ghash Gir Padi Dadi Ummul Bani
Mere Seene Mein Lagta Tha Dum Na Raha
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Mujhpe Aajaye Aana Ho Jo Bhi Bala
Mere Kunbe Ko Abaad Rakhe Khuda
Kitna Zakhmi Hai Dil Kaise Tehreer Ho
Phir Samar Likhke Sughra Ne Khat Rakh Diya
Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Haaye Ab Tak Mai Zinda Hu(n).....2 Baba Jaa(n), Baba Jaa(n), Baba Jaa(n) Baba Jaa(n), Baba Jaa(n)
Lyrics
​