Pamaal Hua Dekh Raha Hai
Lyrics
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Qasim Tujhe Paamal Huwa Dekh Rahe Hain
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Ay Kaash Ke Tum Aisi Guzarish Nahi Karte
Haazir Mere Bhayya Ki Sifarish Nahi Karte
Marne Ki Chachajaan Se Khwahish Nahi Karte
Maidaan Ki Ijazat Ka Sila Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Hothon Pe Zubaan Late Ho Jab Pyaas Ke Maare
Is Haal Per Ro Dete Hai Tasneem Ke Dhaare
Hum Raahe Hasan Khuld Me Kausar Ke Kinaare
Khud Saqiye Kausar Ye Jafa Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Is Tarah Se Paamal Hasan Ka Huwa Mehru
Rangeen Lahu Se Thi Zameen Dasht Ki Harsu
Thi Ghodo Ki Taapo Me Basi Phoolon Ki Khushboo
Dulhe Pe Chadha Range Heena Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Tadpaati Hai Shabbier Ko Qasim Ki Karaahe
Bebas Hai Khade Dasht Me Milti Nahi Raahe
Khaime Pe Nazar Hai Kabhi Maidaan Pa Nigaahe
Farwa Ke Uthe Daste Duwa Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Kab Hoti Hai Taro Se Juda Maah Ki Dunya
Tanhaayi Ko Ghere Hai Ghumo Aah Ki Dunya
Sunsaan Hai Ek Raat Ke Naushaah Ki Dunya
Ek Aalame Armaan Luta Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Kya Khoob Khuda Ke Liye Tasleem Huwe Ho
Baba Ke Jigar Ki Tarah Sadneem Huwe Ho
Qasim Hai Agar Naam To Taqseem Huwe Ho
Laasha Tera Tukdo Me Bata Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Sandal Ke Ewaz Khaakh Basar Hoyegi Dulhan
Bewaao Ke Poshak Me Baithegi Suhagan
Khud Apne Hi Haatho Se Badhaegi Wo Kangan
Chauthi Ka Ye Andaz Naya Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)
Behte Hai Shafi Aapki Tehreer Ke Aasu
Hai Hai Na Ruke Zainabe Dilgeer Ke Aasu
Kis Tarah Ruke Hazrate Shabbier Ke Aasu
Jeete Huwe Marne Ki Adaa Dekh Rahe Hai
Sarwar Sare Maidaan Ye Kya Dekh Rahe Hain.....(2)