top of page

Lyrics

​

Ya Saiyadi, Ya Maulai , Ya Imam E REZA (AS)

Aai Ahle Aza Fe Imam E REZA (AS).....2

 

Mashad Se Sada Dete Hai Yeh Maula REZA (AS)..... Aai Ahel Aza

Bazu Pe Agar Baandhna Taweez E REZA

Zamin Hai Imam E REZA (AS) Ka.....3

 

Yeh Rasm Nahi Yeh Kaul Hai Yeh Maula REZA (AS) Ka

Sikka Nahi Taweez Hai Yeh Rad E Bala Ka

Mushkil Hi Nahi Raah Se Tal Jaaie Qaza

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Maan Behno Ko Bacchon Ko Bhi Pehnao Yeh Sikka

Har Majlis E Shabbir (AS) Mein Batwao

Banjaaoge Batil Ke Liye Kehre Khuda

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Hoga Na Koi Kahuf Balaon Ka Kabhi Bhi

Tootenga yazidon (la) Ka Bharam Dekhna Khud Hi

Khud Maut Pilaengi Tumhe Aab E Baqa

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Taweez E REZA (AS) Ho Ya ALAMDAR (AS) Ka Parcham

Dono Hi Mita Dete Hai Taqdeer Ke Sub Gam

Gazi (AS) Ka Alam Dega Tumhe Khud Hi Dua

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Taboot Uthe Jub Bhi Kahin Maula REZA (AS) Ka

Taboot Se Taweez Dua Kar Ke Utha Na

Jo Mangoge Us Waqt Tumhe Dega Khuda

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Har Nasl Me Har Daur Mein Raij Ho Yeh Sikka

Jo Nasl Abhi Aiiengi Uska Ho Yeh Wirsa

KHATOON E Qaiyamat (sa) Bhi Tumhe Dengi Dua

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Dete Raho Pursa Mazloom REZA (AS) Ka

MASOOMA E QUM (SA) Bhi Talabgar Hai

 

Zakhmi Hai Kaleja Kutch Do Dilasa

Woh Gam Bhi Abhi Tak Dilafgar Hai

Us Dilko Ishi Tarha Sukoon Aaienga

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Ek Farsh Bichao Logo Ko Bulao Aur Padh Ke Masaib Chalo Khoob Ro

Jub Zaher E Sitam Ne Dil Kar Diya Tukde, Dunia Se Sidhara Woh Maula Mera

Tukdon Mein Bata ???? Simat Jaienga,

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

 

Han Mazhar Or Irfan, Karte Raho Elan

Dunia Ko Batao, Haqiqat Hai Kya

Darain Ke Sardar, Hai Malik O Mukhtar

Maula Mere Sarkar, Imam E REZA (AS)

Tum In Ki Zamanat Mein Rahonge Sada

Bazu Pe Agar Bandhlo Taweez E REZA (AS)

 

Zamin Hai IMAM E REZA (AS)......2

  • Wix Facebook page
  • Wix Twitter page
  • Wix Google+ page
bottom of page