Lyrics
As Salam Ya HUSAIN (AS).....2
Ya HUSAIN (AS) As Salam....2
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....3
Jung Is Ke Baad ZAINAB (SA) Ne Ladi SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Apne Pyaron Ki Janaze Sub Utha Kar Le Gaie.....2
Reh Gaie Jo Dasht Mein Woh Laash Thi SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Haye Marte Waqt AKBAR (AS) Ne Kiya Pani Talab.....2
Dil Ko Thame Kanp Uthi Bekasi SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Jis Trha Dane Bikhar Jaie Kisi Tasbeeh Ke.....2
Asr E Ashura Ko Yun Aulad Thi SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Jalte Khaimon Se Uthi ZAINAB (SA) To Kehkar Ya Ali (AS).....2
Sham Mein Paiwsat Kar Di Raushni SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Zulm Ki Berahm Shab Me Der Tak Jagi Hui.....2
Sham Ke Zindan Mein Bacchi So Gai SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Tum Rehaie Paa Chuke Waqt E Safar Bhi Hai Magar .....2
Kafle Walon Kahan Hai Ladli SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Dhoop Ke Sehra Se Guzra Tha Mera Pyasa Kalam.....2
Phir Bhi Kub Likhi Gai Tashnalabi SHABBIR (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Baad E Majlis Log Sare Jaa Chuke Ghar Se Magar.....2
Der Tak Us Ghar Me Maan Roti Rahi Shaabbir (AS) Ki
Karbala Ke Ran Mein Jub Gardan Kati SHABBIR (AS) Ki .....2
Majlison Mein Baantne Zikre HUSAINI (AS) Ki Zia .....2
Is Ko Kehte Hai Musaddik Naukri SHABBIR (AS) Ki