ASGAR (AS) Ka Lahu
Lyrics
​
Haye ASGAR (AS).....6
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne

BESHEER (AS) Ko Maidaan Me Jab Le Gaye Sarwar..
Paikaan Se Sayrab Huwa SHAH (AS) Ka Dilbar..
ASGAR (AS) K Tabassum Pe Kiya Girya Fiza Ne..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
Zalim Ne Ghazab Dhaya Dil E SHAH E HUDA (AS) Par..
Masum Pe Ek Pal Na Raham Aaya Sitamgar..
Ye Bayn Kiye Laash Pe ASGAR (AS) Ki Qaza Ne..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
SUGHRA (AS) Teri Aaghosh Se Aaghosh E SAKINA (SA)
Maadar Ki Kabhi Goad Kabhi Baba Ka Sina..
ASGAR (AS) Ko Liya Goad Me Ab Dasht E Bala Ne..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
SUGHRA (SA) To Yahi Aas Laga Baithi Hai Muztar..
Ayega Mera Bhai Kabhi Ghutniyo Chal Kar..
Yasrib Me Koi Jaaye Ye SUGHRA (SA) Ko Batane..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
SHBBIR (AS) Hai'n SHASHMAH (AS) Ki Mayyit Ko Uthakar..
Rukh Karte Hain Aage To Kabhi Piche Palatkar..
Badhte Hain Suwe Khaima Ye Rudaad Sunane..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
SHABBIR (AS) Mukhatib Thay RUBAB (SA) Aur RUQAYYA (SA)..
Khoya Hai Pisar Tune Tera Mar Gaya Bhaiyya..
Bejurm Usay Nahar Kiya Ahle Jafa Ne..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
Aaakhir Me Lahad Nanhi Si ASGAR (AS) Ki Banakar..
Is Tarha Huwa Girayakuna ZEHRA (SA) Ka Dilbar..
Tar Turbat E ASGAR (AS) Ko Kiya Ashk E Aza Ne..
Chehre Pe Mala Khun SHAH E KARBOBALA (AS) Ne
ASGAR (AS) Ka Lahu Jab Na Liya Arz O Samaa Ne.....2
Sajjad-O-Shabih Hoga Jigarsoz Wo Manzar..
Jab Khoonn Bhara Chehra Liye Aayenge Sarwar..
Mehshar Me Sitam Nana Ko Ummat Ka Dikhane..