top of page

Lyrics

Ya HUSAIN (AS)......6

 

Ya HUSAIN (AS), Ya HUSAIN (AS), Ya HUSAIN (AS)

 

Main Haal Likhun Kya Saadat Ke Lutne Ka

Mai Khud Ek Saiyad Zada Hun

Mujhe Khoon Rulate Hai Aksar

Kabhi Makhtal, Kabhi Kufa, Kabhi Shaam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Baad E HUSAIN (AS) Ibne Ali (AS)

ZAINAB (SA) Pe Kya Aaie Ghadi

Jalti Hui Reti Pe Thi, Be Aasra AALE NABI (AS)

Shame Gariba Aagai, Har Su Udasi Cha Gai

Pehre Pe ZAINAB (SA) Aagai.....2.....Hoton Pe Bhs Tha Yeh Kalam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

MAKHDOOMA E KAUNAIN (SA) Ki  Poti SAKINA  (SA) Bekhata

Baba Ka Lasha Dhoondne Phirti Thi Ban Me Jaan Baja

SHABBIR (AS) Woh Ladli, Seene Pe Jo SHAH (AS) Ke Pali

Uski Yehi Faryad Thi.....2.....Jub Jal Chuke Sare Khaiyam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Jiske Lahu Ka Aaj Bhi Maqrooz Hai Sara Jahan

Hal Min Ki Jo Aawaz Par Makhtal Mein Aaya Bezuban

Woh ASGAR (AS) E Besheer Tha, Jo Kathi Be Taqdeer Tha

Hay hurmala (LA) Ka Teer Tha.....2.....Jis Ke Liye Mehve Kalam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Hay Hay MOHAMMAD (SAWW) Ka Chaman, Kutch Is Tarha Luta Gaya

Yeh Bekasi Sadat Ki Ke Barsare Karbobala

Rokar Kahe QASIM (AS) Ki Maan, Mara Gaya QASIM (AS) Jawan

Zinda Rahe Kaise Yeh Maan.....2.....Faryad Ya Shah E Anam (AS)

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Mashk O Alam Le Kar Chala, Mashk O Alam Ka Pasban

Mashk E SAKINA  (SA) Jub Chidi, Pani Baha Baad E Aza

ABBAS (AS) Ke Bazu Kate, Dil Kaap Utha Yeh Soch Ke

Woh Khak Par Kaise Gire.....2..... Kehte Hue Tum Par Salam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Tere Akhi Mazloom Ka Ghar Se Janaza Jub Chala

Taboot Pe Sau Teer The Lekin Shah E Karbobal (AS)

Teero Pe Tha Lasha Tera, Maan SAIYADA (SA) Mehve Buka

Kehne Lagi Karbobal.....2..... Zinda Rahe Dono Ka Naam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Gyarah Moharram Aa Gai, AALE NABI (AS) Ka Karwan

Tha Shaam Ki Janib Rawan Aur Kafle Ka Karwan

Woh AABID E BEEMAR (AS) Tha, Chal Ne Se Jo Lachar Tha

Mehve Buka Gamkhwar Tha.....2...... Kehta Chala Har Ek Gaam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

 

Kafi Hai Rone Ke Liye, Woh Shaam Kufa Ka Safar

Chadar Talab Karta Raha, SAJJAD (AS) Qaidi, Nauha Gar

Phir Kaidiyon Ka Kafela, Darbar Mein Laya Gay

Khutba Jo ZAINAB (SA) Ne Diya.....2...... Lab Per Tha Yeh  Nauha Madham

 

Irfan O Mazhar Abdi Karte Raho Har Dam Yeh Bai

Bus Zindagi Bhar Ya HASAN (AS), Bus Zindagi  Bhar Ya HUSAIN (AS)

Nauhe Ka Yun Haq Ho Ata, Jub Barsare Farshe Aza

Nauha Padhe Khud SAIYADA (SA), Ro Kar Kahe Khud Khaas O Aam

 

MAULA HAQ IMAM , YA HASAN (AS), YA HUSAIN (AS).....2

  • Wix Facebook page
  • Wix Twitter page
  • Wix Google+ page
bottom of page