ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Lyrics
​
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Dekho Tafseer Sar E Karbobala ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Subhe Ashur Huyi Jab Ke Ayaa'n..
Har Taraf Ranjo Alam Ka Tha Sama'n
Gunji Sehra Me Jo AKBAR (AS) Ki Azaa'n..
Ashado An La Ela Ha Illallah
Ashado An Na MOHAMMADUN (SAWW) Rasulullah
Ashhado An Na ALIYUN (AS) Waliullah
Har Taraf Chhane Lagi Yehi Sada..
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Ishq E HAIDER (AS) Se Mila Ishq E Khuda..
Sab ALI (AS) Wale Sar E Karbobala..
Ek Ek Karke Huye Sheh Pe Fida..
Jo Bhi Hodhe Se Gira Usne Kaha......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Woh Jo Tauheed Bachane Aaye..
Aur SHABBIR (AS) Pe Qurbaan Huye..
Jaante The Yeh Hussaini Saare..
Yehi Naara Hai Baqa E Kaaba.....ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Gham Ke Toofan To Chhate Hi Rahe..
Dil Pe Har Zakhm Ko Khaate Hi Rahe..
Laashein SHABBIR (AS) Uthate Hi Rahe..
SHEH (AS) Ki Dharas Tha Faqat Yeh Jumla......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Marhala Haye Woh Aaya Jis Dum..
Wada Sarwar Ne Nibhaya Jis Dum..
Deen E Haq Yaani Bachaya Jis Dum..
Kehke Sar Rakha Mayaan E Sajda....ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Bole SHABBIR (AS) Suno Fauj E Jafa (LA)
Rab Nahi Koi Mere Rab Ke Siwa ..
Aur Risalat Ke Amee' Hai Nana..
Aur Phir Sheh Ne Bila Fasl Kaha.....ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
Bhai Ki Lash Pe Aayi Dukhiya..
Lash E SHABBIR (AS) Pe ZAINAB (SA) Ne Kaha..
Ab Main Phailaungi Paigham Tera..
Kal Sada Hogi Sar E Farsh E Aza......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2
La Haq Salman Mukhalif f Thi Hawa..
Humne Har Aan Shabih Gham Hai Saha..
Koshishein Karte Rahein Ahle Jafa..
Kalma-E-Haq Se Na Ho Paya Juda......ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah
Mus'haf E Ishq Yeh Tehreer Hua ALI (AS) Hujjatullahe Ala Ibadah.....2