Kar Madad Meri BAQIR (ASWS) Beta
Lyrics
Sakina (sa) Mar Gai .....(2)
Haay ..... Sakina (sa) Mar Gai,
Zindan Me Jub yeh shor utha,
ajab sa dard tha us dam har ek ka chehra,
kareeb lasha e Hamsheer bhai jub pohucha,
bandhe the hath badan zouf se laraz ta tha,
na uth saka jo janaza bahan ka bhai se,
to ro ke bete se Sajjad (as) phir yeh kehne lage,
Kar madad meri Baqir (as) beta humsheer ki kabr banau main .....(2)
zanzeer uthao tum meri .....(2) Aur uski lash uthau main.....
kar madad meri Baqir (as) beta, humsheer ki kabr banau main .....(2)
Dada (as) ne badi mazloomi me tha dadi (sa) ko dafnaya.....
lekin woh medina tha Baqir (as) ,aur yeh hai desh paraya.....
is char baraski mazlooma ko gurbat me kahan dafnau mai.....
kar madad meri Baqir (as) beta, humsheer ki kabr banau main .....(2)
mil jaaie agar wapas mujhko,woh teri rida ya gohar.....
baba ki lahad par rakhdu ya, sugra ko du wapas jaakar.....
woh dono amanat hai teri, batlade kise pohuchaun main.....
kar madad meri Baqir (as) beta, humsheer ki kabr banau main .....(2)
jub tum ko rehai mil jaaie, phupion ko watan pohuchana.....
rehlenge yahnin hum bhai bahan, tum kafela ghar lejana.....
dafnate hue is bacchiko, zinda me agar marjaun main.....
kar madad meri Baqir (as) beta, humsheer ki kabr banau main .....(2)
dono ko juda main kaise karu, himmat hi nahi yeh meri.....
hai aap (as) ke sar se lipti hui, bejaan yeh aap ki beti.....
kya sath sakina (sa) ke baba,sar aap ka bhi dafnau mai.....
kar madad meri Baqir (as) beta, humsheer ki kabr banau main .....(2)
tarikh lahad ko band kia, Abid (as) ne yeh kar akbar.....
keh do yeh haram se aai Baqir (as),sub rooae yahan par aakar
turbat pe chidakne ke khatir, ab pani kahan se laau main
kar madad meri Baqir (as) beta, humsheer ki kabr banau main .....(2)