Matam Kar Naadan
Lyrics
Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS)
Insaan Ko Chahiye Ke Khayal-E-Qaza Rahe
Hum Kia Rahenge Jab Na Rasul-e-Khuda Rahe (SAWW)
Duniya Hai Ek Saraye Azaadar E Karbala
Jab Tak Yahan Hain Farshe Gham E Sheh Bichha Rahe
Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS)
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Qabr Ka Kar Saaman …..Qabr Ka Kar Saaman
Sada Nahi Rehna Hai…2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Saans Ki Dori Kab Tute Gi.....Jab Ye Tujhe Ma'aloom Nahi...... 2
Kaun Si Naao Kahan Dube Gi.....Jab Ye Tujhe Ma'aloom Nahi...... 2
Dam Ko Ghanimat Jaan.....2
Sada Nahi Rehna Hai.....2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Rona To Hai Har Haal Mein Tujh Ko .....Behtar Hai Shabbir Pe Ro…2
Ya Andhiyari Qabr Mein Ja Kar.....Ta Mehshar Taqdeer Ko Ro…2
Ay Ghafil Insaan.....2
Sada Nahi Rehna Hai…2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Chhorh De SHEH (AS) Ki Yaad Ki Khatir.....Kia Shai Hai Daulat Waulat…2
Taj De Har Aaram Ke Bande.....Kia Shai Hai Rahat Wahat…2
Rakh Is Par Imaan…2
Sada Nahi Rehna Hai…2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Chod Ke SHEH (AS) Ki Majlis Matam..... Kaun Hai Jo Pachtaya Nahi.....2
Haan Mere SHABBIR (AS) Ke Gham Se...... Bada Koi Sarmaya Nahi....2
Baat Yeh Meri Maan.....2
Sada Nahi Rehna Hai.....2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Ro Us Par Jo Tere NABI (SAWW) Ko.....Jaan Se Barh Kar Piyara Tha…2
Ro Us Par Jis Ko Ummat Ne.....Gher Ke Piyasa Mara Tha…2
Ro Us Par Har Aan … 2
Sada Nahi Rehna Hai…2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Us SHABBIR (AS) Ka Matam Kar Le.....Jis Ne Khuda Se Piyar Kia…2
Ro Le Use Jis Ne Tahe Khanjar.....Batil Ka Inkaar Kia…2
Tha Jis Ka Ailaan….2
Sada Nahi Rehna Hai
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Ro Us Par Sajde Kiye Jisne..... Teeron Ki Baucharon Mein......2
Matam Kar Matam Hai Uska...... Abtak Chand Sitaron Mein......2
Shaan Uski Phehchan.....2
Sada Nahi Rehna Hai.....2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Sar Dekar Jis SHAH (AS) Ne Teri.....Bakhshish Ka Saman Kia…2
Ka'abe Par Aanch Aane Nahi Di.....Apna Ghar Qurbaan Kia…2
Ho Uspar Qurban…2
Sada Nahi Rehna Hai…2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Bhool Gaya Kia Kaun Musafir .....Jangal Mein Barbaad Hua…2
Aise Ujda Gha ZEHRA (SA) Ka.....Phir Na Kabhi Aabad Hua…2
Yad Kar Ay Insan…2
Sada Nahi Rehna Hai…2
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2
Donon Jahan SHABBIR (AS) Ke Gham Mein .....Aaj Bhi Mehwe Matam Hain .....2
SHEH (AS) Ke Liye Manzoor Tere Ye.....Khoon Ke Aansu Bhi Kam Hain......2
Ro Kar De De Jaan......2
Sada Nahi Rehna Hai.....2
Ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS) …ya HUSAIN (AS) Ya HUSAIN (AS)
Matam Kar Nadan Sada Nahi Rehna Hai, Sada Nahi Rehna Hai …2